23-12-2014, 12:36 AM
Mouje ghame hayaat shrabor kar gayi
Khamosh dhadkanoN mai bada shor kar gayi
Bekhud sa ho gaya mai raqso suroor mai
Or uski humnawaaii mujhey mor kar gayi
MeiN hoke bawafa bhi to ik bewafa raha
NazroN mai meri mujhko hi wo chor kar gayi
Simti si ladki de gayi paighaam aakhirash
Nazuk kalaii uski bhi kuch zor kar gayi
Mujh pe hayaat kaisa ye ehsaan kar dia
Har faisla tu mira tu labe gor kar gayi
Aansu shabe firaaq mai ruk hi nahi sake
Zabte sada ko meri wo kamzor kar gayi
Aslam jo darde jaaN tha wo jaane hayaat hai
Nazuk ye kaam rishtey ki ik dor kar gayi

Zindagi ke haseen lamhe ka
Khoobsurat sa intekhaab ho tum
(aslam noor aslam)
Khoobsurat sa intekhaab ho tum
(aslam noor aslam)