29-01-2021, 02:01 PM
Waseem barelvi sahab ki ek behad khoobsurat ghazal hai
'Aapko dekh ker dekhta reh gaya"
Usi ghazal se mutasir hokar apne alfaaz me kuch likhne ki koshish ki
Mulaiza farmaiye !
Aapko dekh ker dekhte reh gaye
Jaagti aaNkh me khvab se reh gaye
Us adhuri mulaaqaat ka kya kaheiN
Mil ke bhi na mile faasle reh gaye
Shauq e izhaar tha, khauf e ruswaii bhi
lafz hotoN pe bas kaaNpte reh gaye
Lab ki khamoshiyaaN aankheiN kehti rahiN
Phir bhi kitne hi shikwey gile reh gaye
Dil me hasrat ye thi, raaz e dil keh sake
Dil ke armaaN magar dil hi me reh gaye
Be sadaa Kar diya muskura ke hameiN
BuT bane aapko taakTe reh gaye
Rafta rafta yuhi shaam dhalti gayi
HaaN magar, ishq ke ,silsile reh gaye.
Zaara ko thi khabar bewafa tum nahi
Isliye be panaaH chahte reh gaye
-Zaara
Shoq e izhar = eagerness to expression
Khauf e rusvai = fear of humiliation
Hasrat = desire
Be sadaa = voiceless
BuT = statue
TaakTe = stare
Be pahaaH = unlimited
'Aapko dekh ker dekhta reh gaya"
Usi ghazal se mutasir hokar apne alfaaz me kuch likhne ki koshish ki
Mulaiza farmaiye !
Aapko dekh ker dekhte reh gaye
Jaagti aaNkh me khvab se reh gaye
Us adhuri mulaaqaat ka kya kaheiN
Mil ke bhi na mile faasle reh gaye
Shauq e izhaar tha, khauf e ruswaii bhi
lafz hotoN pe bas kaaNpte reh gaye
Lab ki khamoshiyaaN aankheiN kehti rahiN
Phir bhi kitne hi shikwey gile reh gaye
Dil me hasrat ye thi, raaz e dil keh sake
Dil ke armaaN magar dil hi me reh gaye
Be sadaa Kar diya muskura ke hameiN
BuT bane aapko taakTe reh gaye
Rafta rafta yuhi shaam dhalti gayi
HaaN magar, ishq ke ,silsile reh gaye.
Zaara ko thi khabar bewafa tum nahi
Isliye be panaaH chahte reh gaye
-Zaara
Shoq e izhar = eagerness to expression
Khauf e rusvai = fear of humiliation
Hasrat = desire
Be sadaa = voiceless
BuT = statue
TaakTe = stare
Be pahaaH = unlimited
~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aap Ki Dost
Zaara
Aap Ki Dost
Zaara
