DostoN
Aadaab
Chaliye ADC pe aaj se kuchh nayaa shuruu karte haiN. hum yahaaN ek nayaa khel shuruu karte haiN. vaise toh ye mahej ek khel hai aur kaise Ki khel ka naam diyaa hai 'lafz-e-radiif' toh zaahir si baat hai ki aapko ek lafz diyaa jaayega jiska aap radiif meN istemaal karenge. magar ye khel khelna kaise hai? toh chaliye, is khel ko thoda interesting banaate haiN. hamne uske liye kuchh points rakhi haiN jise hameN is khel ke dauraan zehn meN rakhnaa hogaa.
Points niche vistaar se diye Gaye haiN us per gaur kijiyegaa:
1. jaise ki upar bataayaa hai, har roz ek nayaa lafz diyaa jaayega.
2. jo lafz diya jaayega uska istemaal sirf aur sirf radiif meN hi hona chaahiye.
3. memberaan apne khud ke ya kisii shora ke ya kisii aur member ke(member ke consent se hi) ya kisii aur shaayar ke sher ya qita' pesh kar sakte haiN. magar pesh kii gayii tehriir agar aapkii na Ho toh us shaatar ka naam ya agar us shaatar ka naam pataa na Ho toh 'not mine' ya 'NM' likhna na bhule.
4. lafz koii jumle ke taur pe nahiN diyaa jaa saktaa hai; jaise 'dil-e-naadaan' ya 'gham-e-hastii' jaise jumle lafz ke taur pe nahiN chalenge. magar radiif banaate waqt jumle istemaal ho sakte haiN.
5. jo member nayaa lafz pesh karenge wo pehla sher pesh nahiN kar sakte. unhe dusre member ke pehle sher ka intezaar karna hoga.
6. har members do din meN kitnii bhii tehrireN pesh kar sakte haiN.
7. lafz-e-radiif agar radiif ke aakhir meN nahiN ho toh shaayar ko sher matle ke taur pe pesh karnaa hoga ya phir wo single sher pesh nahiN kar sakte, magar wo agar jhumle ke taur pe hai toh wo chalegaa.
..........Example; lafz hai 'aur';
..........Member ne sher pesh kiyaa;
............[ koii din gar zindagaani aur hai
............ apne dil meN hamne thaani aur hai...] (Mirza Ghalib)
..........yahaaN radiif rahegi 'aur hai'. aur ye matlaa hai toh wo jaayaz hai.
..........vaise hi, agar sher pesh kiyaa hai...
............[ hai aur bhii dunyaa meN sukhanvar bahot achchhe
............. kehte hain ki Ghalib ka hai andaaz-e-bayaaN aur...] Mirza Ghalib
..........toh yahaaN 'aur' lafz sher ke aakhir meN hai toh, yahaaN bhii single sher post kar sakte haiN.
8. yahaaN beher ya kaafiye kii koii bandish nahiN hogi.
9. Use mahej ek khel kii tarah khela jaayega aur use competition kii tarah nahi maanaa jaayega.
However, healthy discussions and debates are invited, provided us meN members aur site ka liyaaz rakhaa jaayega is baat ka khayaal rakhaa jaaye.
10.Do din baad koi bhi member naya radeef de sakte hain...
toh dostoN chalye, der kis baat kii hai? toh lijiye hamaari aur se aap logoN ke liye pehlaa lafz hai 'log' (people).
.....

मरमरीं रूख़ से हर रोज़ नयी सुबह चले
सुर्ख़ गालों पे तेरी पलकें झुके शाम ढले
مرمریں راکھ سے ہر روز نیی صوبۂ چلے
سرکہ گالوں پی تری پلکیں جھکے شام دھلے