03-07-2022, 08:01 PM
Ek Ghazal
Tumhaare saath ki jab jab bhi aarzu karte,
Guzishta waqt ke zakhmoN se guftagu karte
Kiya namaaz e mohabbat ka farz adaa maiN ne,
Kati hai umr meri ashk se wuzu karte
YakqeeN jo hota ki mar jaayeiN to miloge tum,
Bade hi shauq se marne ki aarzu karte
Bichadte waqt agar muD ke dekh leta tu,
Teri talaash zamaane me ku ba ku karte
YaqeeN jo hota sitam ka mere sitamgar ko,
To har sitam ka bayaaN us ke ru ba ru karte
Tamaam umr hi guzri tere khayaaloN me,
Juda jo tu kabhi hota to justaju karte
GhamoN ke saaye me guzri hai zindegi Zaara,
Ye aarzu thi koyee hum bhi aarzu karte
-Zaara