|
|
Mujahid Ali's Most Thanked Post |
Post Subject |
Post Date/Time |
Numbers of Thanks |
Ghazal |
14-09-2015, 01:42 AM |
1 |
Thread Subject |
Forum Name |
Ghazal |
MeHfil e SuKhan
Ghazals
|
Post Message |
Hum toh aaye uss shehar mai jo be-gaana hai;
Na koi majnu idhar aur na hi koi deewaana hai;
Zara mohtaat rehna kahi tu ulajh na jaana ab;
Ehel-e-shehar hai naye par masail puraana hai;
Koi maange daulat- o -shauhrat aur koi roti bhi;
Ye aalam- e -shehar toh ab ajab- o -yagana hai;
Karta nahi jo izzat-e-fikar-o-khayaal aye khuda;
Laazmi hai ke uska manzil baada-khaana hai;
Hue hum mutasir kashish- e -nigaah-e-yaar se;
Voh kaif- e -kashish toh adaa- e -kafiraana hai;
Sheher-e-malaamat mai jeena muhaal hogaya;
Yaha ke sharifo ka ajab andaaz-e-sharifana hai;
Jo nahi muflisaan-e-khaas-o-aam mai shumaar;
Ye be-adabi sulook toh tadeeb- e -zamaana hai;
Teer-e-be-panaah jo paar hui mere dil se sanam;
Ye zakham-e-dil toh alaamat- e-aashiqaana hai;
Sochta hu ke laut jaau wapis apney shehar mai;
Waha ehel-e-dostaana aur ehel-e-farzaana hai;
Ye saleeqa-e-arz-e-hunar bhi khaas hai mujahid;
Log kehtey mera andaaz kuch shayaraana hai; |
|