|
|
shaad's Most Thanked Post |
Post Subject |
Post Date/Time |
Numbers of Thanks |
teer nazro’n ke mere dil pe chala aur sahi... Ghazal by Shamshad Shaad, Nagpur (India |
24-07-2015, 04:04 PM |
3 |
Thread Subject |
Forum Name |
teer nazro’n ke mere dil pe chala aur sahi... Ghazal by Shamshad Shaad, Nagpur (India |
MeHfil e SuKhan
Behr-Band Ghazals
|
Post Message |
teer nazro’n ke mere dil pe chala aur sahi
naaz parvar ye teri shokh adaa aur sahi
dard hi dil ki dawa hai to na taRpa mujhko
aik pathar mere seene pe chala aur sahi
yeh zubaa’n vird tere naam ka karti hai sada
rooh ki jo ye ghiza hai to ghiza aur sahi
har ghaRee dil ke taqazo’n se dil aazaar hun main
fitnagar ko mile ik soz-e-wafa aur sahi
tujh ko millti hai khushi dil ko dukha kar jo mere
aa ke phir rond mere dil ko dukha aur sahi
hum ne hans hans ke sahe Shaad sabhi zulm o sitam
phir bhi ilzaam jafaa hai to jafaa aur sahi
Shayar : Shamshad Shaad, Nagpur (India)
تیر نظروں کے مرے دل پہ چلا اور سہی
ناز پرور یہ تری شوخ ادا اور سہی
درد ہی دل کی دوا ہے تو نہ تڑپا مجھ کو
ایک پتھر مرے سینے پہ چلا اور سہی
یہ زباں وِرد ترے نام کا کرتی ہے سدا
روح کی جو یہ غذا ہے تو غذا اور سہی
ہر گھڑی دل کے تقاضوں سے دل آزارہوں میں
فتنہ گر کو ملے اک سوزِوفا اور سہی
تجھ کو ملتی ہے خوشی دل کو دکھا کر جو مرے
آ کے پھر رَوند میرے دل کو دُکھا اور سہی
ہم نے ہنس ہنس کے سہے شاؔد سبھی ظلم و ستم
پھر بھی الزامِ جفا ہے تو جفا اور سہی
(شمشاد شاد، ناگپور (انڈیا |
|