
Shoutbox archive

nā-umīdī maut se kahtī hai apnā kaam kar aas kahtī hai Thahar ḳhat kā javāb aane ko hai - FANI BADAYUNI

Yeh aarzoo thi tujhe Gul ke roobaroo karte,.. Ham aur bulbul-e-betaab Guftagoo karte..Haider Ali aatish

kyu.n lagaye hai.n ishq par har taraf pahre .... wafa ke naam se itni bhi adaavat kyu.n hai

bheegi huwi ik shaam ki dehleez pe baiThy >>> hum dil ky sulagny ka sabab soch rahy haiN >>> Shakeeb Jalali

Tum kabhi us shqs ke dil ko bhi "azhar" dekhna... Jisne apne khaab ko aankhoN mai mar jaane dia (Azhar Inayati)

Tum laakh chupaoo chehray say ehsaas humaari chaahat kaa ...Dil jab bhi tumhaara dharakhta hai aawaz yahaaN tak Aati hai Nm

bichaRna yaar se asaan bhi nahi hota >>> phir aisy jurm ka tawaan bhi nahi hota >>> NM

ruk hi jaati hai nazar had e nazar tak werna >>> dil to kehta hai jahan tum ho wahaN tak dekhoN >>> NM

Kaun kehta hai ke dil sirf lafzoN se dukhaya jaata hai... Teri khamoshi bhi kabhi kabhi ankheN nam kar deti hai ..NM

Tum haqeqat ..e..Ishq ho ya fraib Meri Aankhoon ka... Na Dil se Nikalte ho. Na Zindagi mai aate ho....!!!~ Nm

Shagufta log bhi toote hue hote hai andar se... Bahot rote hai wo jinko lateefe yaad rehte hai......nm

is shab ki muqaddar mai sahar hi nahi Mohsin dekha hai kai baar charagosh ki bujha kar (Mohsin Naqvi)