Welcome, Guest |
You have to register before you can post on our site.
|
Online Users |
There are currently 40 online users. » 0 Member(s) | 39 Guest(s) Bing
|
Latest Threads |
My Fav and urs ?
Forum: Audio , Videos & lyrics
Last Post: Aslam Khan
28-03-2021, 12:11 AM
» Replies: 339
» Views: 30,558
|
Shikayat nahi hai
Forum: Behr-Band Ghazals
Last Post: zaara
16-03-2021, 12:17 AM
» Replies: 2
» Views: 103
|
Aapko dekh ker dekhte reh...
Forum: Behr-Band Ghazals
Last Post: Aslam Khan
16-02-2021, 01:33 PM
» Replies: 4
» Views: 166
|
Teri aankhon ke siva duny...
Forum: Behr-Band Ghazals
Last Post: Aslam Khan
16-02-2021, 01:31 PM
» Replies: 1
» Views: 91
|
Teri aankhon ke siva duny...
Forum: Behr-Band Ghazals
Last Post: zaara
14-02-2021, 07:27 PM
» Replies: 0
» Views: 60
|
Kabhi khamosh baithoge
Forum: Jagjit Singh Ghazals
Last Post: zaara
08-02-2021, 10:04 PM
» Replies: 0
» Views: 60
|
IGNORE
Forum: Quotes with pictures
Last Post: Dedomil
02-02-2021, 10:02 PM
» Replies: 18
» Views: 3,480
|
Ba khuda dosti hai
Forum: Behr-Band Ghazals
Last Post: zaara
02-01-2021, 03:43 PM
» Replies: 0
» Views: 193
|
kab woh sunta hai kahani ...
Forum: Mirza Ghalib
Last Post: zaara
27-11-2020, 04:32 PM
» Replies: 2
» Views: 235
|
Gila aap se hi to kar gay...
Forum: Behr-Band Ghazals
Last Post: zaara
27-11-2020, 04:31 PM
» Replies: 2
» Views: 294
|
|
|
Shikayat nahi hai |
Posted by: zaara - 15-03-2021, 06:44 AM - Forum: Behr-Band Ghazals
- Replies (2)
|
 |
Ghazal
Chalo humne maana mohabbat nahi hai
Ye kam to nahi hai ke nafrat nahi hai
Hai mumkin wo aaye palat ker kisi din
Agar wo na aaye ....shikayat nahi hai
Karo qatl mera , Jo chahe saza do,
Magar ye na kehna ke chahat nahi hai
Kabhi qais o laila ke qisse padhe thay
FasaanoN me ab waisi lazzat nahi hai
HaiN charoN taraf mere darya samandar
Magar pyaas me ab wo shiddat nahi hai
Kabhi muD ke dekheN wo guzra zamaana
Ghadi bhar ki ab humko fursat nahi hai
Mere qatl per mere dushman bhi roye
HaaN qaatil ko mere nadaamat nahi hai
Na bikhrao phuuloN ke chadar yuuN mujh pe
MaiN zinda huuN ye meri mayyat nahi hai
ZameeN zar o zevar , ye dunya ki daulat,
HameiN aish o ishrat ,ki chahat nahi nahi
Samander me rasta dua ka asar tha
Ibaadat me ab waisi shiddat nahi hai
HawaoN se ladta raha umr bhar wo
Magar ab diye me wo taaqat nahi hai
Jahannum se lagte haiN dunya ke mele
YahaaN mere khwaboN ki jannat nahi hai
Mohabbat se dekhe, to samjho ye Zaara
Inayat hai dam bhar ki ulfat nahi hai
-Zaara
|
|
|
Teri aankhon ke siva dunya me rakhkha kya hai |
Posted by: zaara - 14-02-2021, 07:27 PM - Forum: Behr-Band Ghazals
- Replies (1)
|
 |
Janaab Faiz ahmed Faiz saheb ki ek khoobsurat nazm " mujhse pehli si mohabbat mere mehboob na maang" usi ka ek misra hai " teri aankhoN ke siwa duniya me rakhkha kya hai".
Isi misre per apni tarahi ghazal pesh kar rahi huun mulaiza farmaiye
Teri aankhoN ke siwa dunyaa mein rakhaa kya hai
Inko dekha to ye jaana ke ye dunya kya hai
Hai tere dam se dhadkta mera dil bhi humdam
Teri ulfat jo na ho dil me to jeena kya hai
Kya haqiqat hai mohabbat ki, aqidat kya hai
Kaun jaane ke bura kya hai , ya achcha kya hai
Tera gham, Bebasi, tanhaii ya teri hasrat
Apni taqdeer mai ab waise bhi likhkha kya hai
DhooNdti haiN ye nigaaheiN ,Zaara ki tum hi ko
Hum samaj hi na sake hum me ye rishta kya hai
-Zaara
|
|
|
Teri aankhon ke siva dunya me rakhkha kya hai |
Posted by: zaara - 14-02-2021, 07:27 PM - Forum: Behr-Band Ghazals
- No Replies
|
 |
Janaab Faiz ahmed Faiz saheb ki ek khoobsurat nazm " mujhse pehli si mohabbat mere mehboob na maang" usi ka ek misra hai " teri aankhoN ke siwa duniya me rakhkha kya hai".
Isi misre per apni tarahi ghazal pesh kar rahi huun mulaiza farmaiye
Teri aankhoN ke siwa dunyaa mein rakhaa kya hai
Inko dekha to ye jaana ke ye dunya kya hai
Hai tere dam se dhadkta mera dil bhi humdam
Teri ulfat jo na ho dil me to jeena kya hai
Kya haqiqat hai mohabbat ki, aqidat kya hai
Kaun jaane ke bura kya hai , ya achcha kya hai
Tera gham, Bebasi, tanhaii ya teri hasrat
Apni taqdeer mai ab waise bhi likhkha kya hai
DhooNdti haiN ye nigaaheiN ,Zaara ki tum hi ko
Hum samaj hi na sake hum me ye rishta kya hai
-Zaara
|
|
|
Aapko dekh ker dekhte reh gaye |
Posted by: zaara - 29-01-2021, 02:01 PM - Forum: Behr-Band Ghazals
- Replies (4)
|
 |
Waseem barelvi sahab ki ek behad khoobsurat ghazal hai
'Aapko dekh ker dekhta reh gaya"
Usi ghazal se mutasir hokar apne alfaaz me kuch likhne ki koshish ki
Mulaiza farmaiye !
Aapko dekh ker dekhte reh gaye
Jaagti aaNkh me khvab se reh gaye
Us adhuri mulaaqaat ka kya kaheiN
Mil ke bhi na mile faasle reh gaye
Shauq e izhaar tha, khauf e ruswaii bhi
lafz hotoN pe bas kaaNpte reh gaye
Lab ki khamoshiyaaN aankheiN kehti rahiN
Phir bhi kitne hi shikwey gile reh gaye
Dil me hasrat ye thi, raaz e dil keh sake
Dil ke armaaN magar dil hi me reh gaye
Be sadaa Kar diya muskura ke hameiN
BuT bane aapko taakTe reh gaye
Rafta rafta yuhi shaam dhalti gayi
HaaN magar, ishq ke ,silsile reh gaye.
Zaara ko thi khabar bewafa tum nahi
Isliye be panaaH chahte reh gaye
-Zaara
Shoq e izhar = eagerness to expression
Khauf e rusvai = fear of humiliation
Hasrat = desire
Be sadaa = voiceless
BuT = statue
TaakTe = stare
Be pahaaH = unlimited
|
|
|
kab woh sunta hai kahani meri |
Posted by: Mujeeb - 18-11-2020, 11:48 AM - Forum: Mirza Ghalib
- Replies (2)
|
 |
کب وہ سنتا ہے کہانی میری
اور پھر وہ بھی زبانی میری
خلشِ غمزۂ خوں ریز نہ پوچھ
دیکھ خوں نابہ فشانی میری
کیا بیاں کر کے مرا روئیں گے یار
مگر آشفتہ بیانی میری
ہوں ز خود رفتۂ بیدائے خیال
بھول جانا ہے نشانی میری
متقابل ہے مقابل میرا
رک گیا دیکھ روانی میری
قدرِ سنگِ سرِ رہ رکھتا ہوں
سخت ارزاں ہے گرانی میری
گرد بادِ رہِ بیتابی ہوں
صرصرِ شوق ہے بانی میری
دہن اس کا جو نہ معلوم ہوا
کھل گئی ہیچ مدانی میری
کر دیا ضعف نے عاجز غالبؔ
ننگِ پیری ہے جوانی میری
|
|
|
bahaanoN se milna |
Posted by: zaara - 08-11-2020, 12:42 AM - Forum: Behr-Band Ghazals
- Replies (4)
|
 |
![[Image: r7WaJaY.jpg]](https://i.imgur.com/r7WaJaY.jpg)
Ghazal By Dr Zaara khan
AndheroN se chal ker ujaaloN se milna
Haqeeqat me mumkin hai khwaboN se milna
Sar e rehguzar waqt thahra lagega
SiyaaH raat me tum sitaaroN se milna
Aziyat samajhna ho toote diloN ki
To chup chaap jalte charaghoN se milna
YahaaN shauq e dunya me masroof sab haiN
Jo fursat mile Gham ke maaroN se milna
KahiN khol de na ye raaz e mohabbat
Wo sookhey guloN ka kitaaboN se milna
Ye dete haiN paighaam e amn o mohabbat
Adab se chaman ke gulaaboN se milna
Badhati hai iimaan momin ki , ghurbat
Wo rizq e naseebaaN bahaanoN se milna
Uthenge sawalaat har mod Zaara
Akele mai apne jawaaboN se milna
- Zaara
Sar e rehguzar = On the way
Siyaah = dark
Aziyat = suffering
Shauq e dunya = desires of the world
Ghurbat = poverty
Rizq e naseeban = livelihood of destiny
اندھیروں سے چل کر اجالوں سے ملنا
حقیقت میں ممکن ہے خوابوں سے ملنا
سَر رہگزر وقت ٹہرا لگے گا
سیاہ رات میں تم ستاروں سے ملنا
اذیت سمجھنا ہو ٹوٹے دلوں کی
تو چُپ چاپ جلتے چراغوں سے ملنا
یہاں شوق دنیا میں مصروف سب ہیں
جو فرصت ملے غم كے ماروں سے ملنا
کہیں کھول دے نا یہ راز محبت
وہ سوکھے گلوں کا کتابوں سے ملنا
یہ دیتے ہیں پیغام امن و محبت
ادب سے چمن كے گلابوں سے ملنا
بڑھتی ہے ایمان مومن کی ، غربت
وہ رزق نسیبان بہانوں سے ملنا
اٹھیں گے سوالات ہر موڑ زارا
اکیلے میں اپنے جوابوں سے ملنا
- زارا
|
|
|
Jaane kya dhundta hai- Lucky Ali |
Posted by: ankur021 - 31-10-2020, 03:29 PM - Forum: Audio , Videos & lyrics
- No Replies
|
 |
Jaane kya dhoondta hai, ye mera dil
Tujhko kya chaahiye zindagi
(Jaane kya dhoondta hai, ae mera dil
Tujhko kya chaahiye zindagi) - 2
Raaste hi raaste hain, kaisa hai yeh safar
Dhoondti hain jisko nazrein, jaane hai voh kidhar
(Jaane kya dhoondta hai, ae mera dil
Tujhko kya chaahiye zindagi) - 2
ek chehra sa koi sapna hai voh
Kahin nahin hai phir bhi apna hai voh
Aise mere andar shaamil hai voh
Main hoon behta dariya, saahil hai voh
Hai kahan voh, voh kidhar hai, raaste kuch to bata
Kaun sa uska nagar hai, rehguzar kuch to bata
Dhoondti hain jisko nazrein, jaane hai voh kidhar
(Jaane kya dhoondta hai, yeh mera dil
Tujhko kya chaahiye zindagi) - 2
Soona sa hai mandir, moorat nahin
Khaali hai aaina, soorat nahin
Jeene ka jeevan mein kaaran to ho
Maheke kaise kaliyaan, gulshan to ho
Shama hai jo mujh mein roshan, voh viraasat kisko doon
Door tak koi nahin hai, apni chaahat kisko doon
Dhoondti hain jisko nazrein, jaane hai voh kidhar
(Jaane kya dhoondta hai, ae mera dil
Tujhko kya chaahiye zindagi) - 2
|
|
|
|